Delhi Rape - What a shame, what a shame...
47 mein Angrezo se kar ladai, azaad hua hindustan
Tab tha mera bharat mahaan
83 mein apne khiladiyo ne band kar di West Indies ki dukaan
Tab tha mera bharat mahaan
2008 mein saikdon ki maut ke baad, Mumbai wasiyo ke saath tha poora hindustan
Tab tha mera bharat mahaan
2011 mein Lanka dha ke phir ban gaye hum keertiman
Tab tha mera bharat mahaan
2012 mein Kasab ko de faasi, humne phir kiya insaaf ka elaan
Tab tha mera bharat mahaan
Lekin 2012 mein hi is mahaan desh ke chand ladko ne chalti bus mein dikhaya apne andar ka haivaan
Kya ab bhi hai mera bharat mahaan?
Aryabhatta, Gandhi, Tendulkar aur Amitabh Bacchan ne badhai jis desh ki shaan
Usi desh ne paale hain ye jaanwar, jo sirf dikhte hain insaan
Kya ab bhi hai mera bharat mahaan?
Eh desh chalane walo, lauta do har behen, beti aur bahu ke chehre ki muskaan
Chadha do in badmasho ko faasi par, har lo in shaitano ke praan
Dikha do ki kshama nahi hai in gunehgaaro ke liye, mita do inki mardaangi ke har nishaan
....Tab banega phir mera bharat mahaan.
Tab banega phir mera bharat mahaan.
-- Kunal Jha